mukhtasar shab ki tawalat nahin ki ja sakti kam kisi taur aziyyat nahin ki ja sakti hum ne to ek pari-wash se mohabbat ki hai log kahte hain mohabbat nahin ki ja sakti lakh hote hun sabab tark-e-sukunat ke magar shahr-e-jaan se kabhi hijrat nahin ki ja sakti mere nadan mat is ko meri fankari samajh khud pe tari kabhi wahshat nahin ki ja sakti wasl par dil hi kisi ka na ho mail jab tak hijr ki puri zarurat nahin ki ja sakti shart mat rakh ki rah-e-ishq-e-butan mein 'adil' waqt ki ru se baghawat nahin ki ja sakti