kisi diwar se bhi kab kahi hai jo hasrat dil ki thi dil mein rahi hai utar kar parbaton se jab bahi hai kahan shaffaf phir naddi rahi hai teri furqat mein kab guzri thi mujh par qayamat jo tujhe mil kar sahi hai kabhi wo log phir guzre na dil se musafir aur hain rasta wahi hai guman hone laga dariya ka un par kuchh aise ab ke har naddi bahi hai to kya tum bhi chaloge sath mere tumhaara rasta bhi kya yahi hai faqat badli hai teri soch 'khawar' wahi hain titliyan gul bhi wahi hai