badan se rishta-e-jaan mo'tabar na tha mera main jis mein rahta tha shayad wo ghar na tha mera qarib hi se wo guzra magar khabar na hui dil is tarah to kabhi be-khabar na tha mera main misl-e-sabza-e-begana jis chaman mein raha wahan ke gul na the mere samar na tha mera na raushni na hararat hi de saka mujh ko parai aag mein koi sharar na tha mera zamin ko ru-kash-e-aflak kar diya jis ne hunar tha kis ka agar wo hunar na tha mera kuchh aur tha meri tashkil o irtiqa ka sabab madar sirf hawaon pe gar na tha mera jo dhup de gaya mujh ko wo mera suraj tha jo chhanw de na saka wo shajar na tha mera nahin ki mujh se mere dil ne bewafai ki lahu se rabt hi kuchh mo'tabar na tha mera pahunch ke jo sar-e-manzil bichhad gaya mujh se wo ham-safar tha magar ham-nazar na tha mera ek aane wale ka main muntazir to tha 'akbar' har aane wala magar muntazir na tha mera