aur ab kya kahen ki kya hain hum aap hi apne muddaa hain hum apne aashiq hain apne warafta aap hi apne dil-ruba hain hum aap hi khana aap khana-khuda aap hi apni marhaba hain hum ishq jo dil mein dard ho ke raha khud usi dard ki dawa hain hum raaz-e-dil ki tarah zamane mein the chhupe aaj barmala hain hum kyun na ho arsh par dimagh apna kis ke kuche ki khak-e-pa hain hum har koi aashna samajhta hai aur yan kis ke aashna hain hum ibtida ki bhi ibtida hain hum intiha ki bhi intiha hain hum hum to bande 'nizam' un ke hain wo baja kahte hain khuda hain ham