main gharq wahan pyas ke paikar ki tarah tha har qatra jahan ek samundar ki tarah tha ghar sare shikasta the guzar-gahen andheri kuchh shahr mera mere muqaddar ki tarah tha aaj us ka jahan mein koi pursan hi nahin hai kal tak jo zamane mein sikandar ki tarah tha tha is ke muqaddar mein likha dubna duba haalanki wo dariya mein shanawar ki tarah tha kya meri haqiqat thi gulistan mein na puchho main tha magar ek tair-e-be-par ki tarah tha jab shahr mein patthar hi ki thi umr ganwai duniya mein tujhe jina bhi aazar ki tarah tha dil ke bhi zamane mein badalte rahe andaz dariya ki tarah tha kabhi patthar ki tarah tha duniya-e-adab mein sabhi kahte hain jise 'mir' ek lafz-o-maani ke samundar ki tarah tha ras aai 'guhar' khub mujhe dasht-nawardi har aabla-e-pa mera gauhar ki tarah tha