aur to pas mere hijr mein kya rakkha hai ek tere dard ko pahlu mein chhupa rakkha hai dil se arbab-e-wafa ka hai bhulana mushkil hum ne ye un ke taghaful ko suna rakkha hai tum ne baal apne jo phulon mein basa rakkhe hain shauq ko aur bhi diwana bana rakkha hai sakht bedard hai tasir-e-mohabbat ki unhen bistar-e-naz pe sote se jaga rakkha hai aah wo yaad ki us yaad ko ho kar majbur dil-e-mayus ne muddat se bhula rakkha hai kya tammul hai mere qatl mein ai bazu-e-yar ek hi war mein sar tan se juda rakkha hai husn ko jaur se begana na samjho ki use ye sabaq ishq ne pahle hi padha rakkha hai teri nisbat se sitamgar tere mayuson ne dagh-e-hirman ko bhi sine se laga rakkha hai kahte hain ahl-e-jahan dard-e-mohabbat jis ko nam usi ka dil-e-muztar ne dawa rakkha hai nigah-e-yar se paikan-e-qaza ka mushtaq dil-e-majbur nishane pe khula rakkha hai is ka anjam bhi kuchh soch liya hai 'hasrat' tu ne rabt un se jo is darja badha rakkha hai