aur khul ja ki maarif ki guzargahon mein pech ai zulf-e-siyah-fam abhi baqi hain ek subu aur ki lauh-e-dil-e-mai-noshan par kuchh nuqush-e-sahar-o-sham abhi baqi hain thahar ai baad-e-sahar us gul-e-nau-rasta ke nam aur bhi shauq ke paigham abhi baqi hain ai harifan-e-subu gosh-bar-awaz raho daman-e-wahi mein ilham abhi baqi hain tul khinch ai shab-e-mai-khana ki sab kar-e-siyah ba-hama lazzat-e-iqdam abhi baqi hain aur abhi raunda nahin ai kaf-e-pa-e-tahqiq dil mein sau tarah ke auham abhi baqi hain ai sahi qad teri nisbat se sab unchi qadren bawajud-e-rawish-e-am abhi baqi hain hum mein kal ke na sahi 'hafiz'-o-'khayyam' 'zafar' aaj ke 'hafiz'-o-'khayyam' abhi baqi hain