har ek baat pe kyun pech-o-tab hota hai azizo jurm-e-mohabbat azab hota hai faraaz-e-baam pe dekha hai jab kabhi un ko nazar mein beach rukh-e-mahtab hota hai faqat ye ishq-o-mohabbat ki hum pe aafat hai ki jab bhi hota hai hum par itab hota hai jahan pe zulm-o-sitam had se apni badhte hain yaqin mano wahin inqalab hota hai na anjuman mein thikana na apne ghar mein kahin kharab bazm bhi khana-kharab hota hai sawal-e-ajr-e-mohabbat pe wo bigad baitha itab karta hai jab la-jawab hota hai sambhal ke baith zara dil ko tham ai 'shadan' kisi ka husn abhi be-naqab hota hai