sochne ka bhi nahin waqt mayassar mujh ko ek kashish hai jo liye phirti hai dar dar mujh ko apna tufan na dikhae wo samundar mujh ko chaar qatre na hue jis se mayassar mujh ko umr bhar dair-o-haram ne diye chakkar mujh ko be-kasi ka ho bura le gai ghar ghar mujh ko shukr hai rah gaya parda meri uryani ka khak kuche ki tere ban gai chadar mujh ko chup rahun main to khamoshi bhi gila ho jae aap jo chahen wo kah den mere munh par mujh ko khak chhana kiye hum qafile walon ke liye qafile walon ne dekha bhi na mud kar mujh ko aap zalim nahin, zalim hai magar aap ki yaad wahi kam-bakht satati hai barabar mujh ko inqilabaat ne kuchh aisa pareshan kiya ki sujhai nahin deta hai tera dar mujh ko jurat-e-shauq to kya kuchh nahin kahti lekin panw phailane nahin deti hai chadar mujh ko mil gai tishnagi-e-shauq se fursat ta-umr apne hathon se diya aap ne saghar mujh ko ab mera jazba-e-taufiq hai aur main 'bismil' khizr gum ho gae raste pe laga kar mujh ko