aur koi bhi nahin apna sahaara baqi ab hai sine mein faqat dard tumhaara baqi qarya-e-jaan bhi hai aur dawat-e-didar bhi hai aankh baqi nahin lekin hai nazara baqi baqi aasar hain bas qahr-e-khuda ke har-su koi tufan hai na kashti na kinara baqi us ke aane ki hai mauhum si ummid abhi aasman par hai abhi ek sitara baqi dil-o-jaan bhi nahin duniya bhi nahin hai apni sochte hain ki yahan kya hai hamara baqi jaane kis samt hue log rawana sare ek main shahr mein hun dard ka mara baqi