zakhm ab dil ke chamak dete hain hiron ki tarah hum tere shahr mein rahte hain amiron ki tarah kar diya qaid hamein waqt ki diwaron ne warna hum log bhi the chhutte tiron ki tarah sham ko dubte suraj ki chamakti surkhi dur tak phail gai khuni jaziron ki tarah jab bhi aati hai koi fitna jaga deti hai teri muskan tere lab pe shariron ki tarah ye mila mujh ko sila meri wafa ka sirat likh diya nam mera us ne lakiron ki tarah