dhuan bana ke faza mein uda diya mujh ko main jal raha tha kisi ne bujha diya mujh ko taraqqiyon ka fasana suna diya mujh ko abhi hansa bhi na tha aur rula diya mujh ko main ek zarra bulandi ko chhune nikla tha hawa ne tham ke zamin par gira diya mujh ko safed sang ki chadar lapet kar mujh par fasil-e-shahr pe kis ne saja diya mujh ko khada hun aaj bhi roti ke chaar harf liye sawal ye hai kitabon ne kya diya mujh ko na jaane kaun sa jazba tha jis ne khud hi 'nazir' meri hi zat ka dushman bana diya mujh ko