aur kuchh lafz gaDhun sanat-e-iham ghalat

aur kuchh lafz gadhun sanat-e-iham ghalat
hai ye khud apni khudi is ka khuda nam ghalat

jumbishen us ki ghalat hain ki khud abru mein hai kham
us ki tamil mein ye gardish-e-ayyam ghalat

ye safar kya ki jahan chhanw mili baith gae
dhup kitni hi kadi ho magar aaram ghalat

hawas-e-dana agar hai to su-e-dam chalo
hawas-e-dana o andeshgi-e-dam ghalat

is se behtar thi kahin gosha-e-aram mein nind
ye safar kya ki har ek rah har ek gam ghalat

nahin afsun hi ko afsane ki manzil malum
ghalat aaghaz ka hota hi hai anjam ghalat

'mazhari' chal na sake waqt-e-subuk-e-gam ke sath
ham-safar pairawi-e-waqt-e-subuk-gam ghalat


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close