darmiyan-e-gunah-o-sawab aadmi hai khud apne liye hi azab aadmi ye zamin jis khata ki bani thi saza main wahi to hun khana-kharab aadmi hal muamme ka jaise muamma koi bas ki hai aadmi ka jawab aadmi dekh be-sakhta aks ghabra gaya shishe ke samne be-hijab aadmi falsafa bhi khudi falsafi bhi khudi aap talib hai aap hi kitab aadmi hashiya hai kabhi aur kabhi rang hai jaise jam aadmi aur sharab aadmi maut de bhi gai hai jawab-e-azal aur khada rah gaya la-jawab aadmi mujh se jal-thal hua hai mera andarun main ne kar hi diya be-naqab aadmi