aur kya umr ki kahani hai

aur kya umr ki kahani hai
raegani hi raegani hai

ek khake mein rang bharna hai
ek kahani magar chhupani hai

mujh ko taqlid se bhi bachna hai
shama se shama bhi jalani hai

shahr mein odhni bhi hai tahzib
dasht mein khak bhi udani hai

husn qaem zamin ka rakhte hue
ek basti nai basani hai

ek budha ye kahta phirta hai
tazgi aaj bhi purani hai

ishq qail nahin hua hai 'wali'
maslahat rah-e-darmiyani hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close