har ghar ke aas-pas samundar laga mujhe kitna muhib shahr ka manzar laga mujhe khilqat bahut thi phir bhi koi bolta na tha sunsan raston se bahut dar laga mujhe qatil ka hath aaj khuda ke hai ru-ba-ru dast-e-dua bhi khun ka saghar laga mujhe yun reza reza hun ki koi bhi hua na tha yun to teri nigah ka kankar laga mujhe baithe-bithae kucha-e-qatil mein le gaya masum dil bhi kitna sitamgar laga mujhe kis kis ne chutkiyon mein udaya hai mera dil chahe to tu bhi aakhiri thokar laga mujhe gulchin palat ke sab tere kuche se aae hain phulon ke raste mein tera ghar laga mujhe wo jagta raha to qayamat bapa rahi wo so gaya to aur bhi kafar laga mujhe dekha jab aankh bhar ke use dubta gaya aalam tamam aalam-e-digar laga mujhe us ki khamoshiyon mein nihan kitna shor tha mujh se siwa wo dard ka khugar laga mujhe jis aaine mein bhi tera paikar sama gaya us aaine mein apna hi jauhar laga mujhe ya mere dil se hasrat-e-parwaz chhin le ya mere pas aa ke nae par laga mujhe sahil pe jo khada tha tamasha bana hua wo gahre paniyon ka shanawar laga mujhe socha to chur chur the shishe ke ghar tamam dekha to hath hath mein patthar laga mujhe aaankhon se gard jhad ke dekha to dosto kotah qad bhi apne barabar laga mujhe tarikiyon mein nur ka haala bhi tha kahin dasht-e-khayal apna muqaddar laga mujhe chhedi kuchh is tarah se 'jamil' us ne ye ghazal har ek sher qand-e-mukarrar laga mujhe