aur mai-KHana-nashin chor banae na gae

aur mai-khana-nashin chor banae na gae
hum dhare jate hain nahaq kahin aae na gae

shokhiyan teri uthaengi mujhe bazm se kya
un se to sharm ke parde bhi uthae na gae

qaid naghme ki hui qaid-e-qafas par turra
hum se sayyaad ko nale bhi sunae na gae

parda dala teri rahmat ne mere isyan par
un farishton se mere aib chhupae na gae

kaun sa lutf na firdaus mein paya lekin
phir bhi duniya ke mere dil se bhulae na gae

jab chale su-e-lahad mud ke na dekha ghar ko
aise ruthe ki kisi se bhi manae na gae

ye samajh kar ki gunahgar hain kis malik ke
na gae hashr mein hum aankh jhukae na gae

ghair ke jalne se kuchh aanch na aati tum par
kyun alag baithe hue aag lagae na gae

na raha hashr mein nazzare se mahrum koi
qabr se ek hamein aaj uthae na gae

kis ne dekha hamein kuche mein hasinon ke 'riyaz'
muft badnam hue hum kahin aae na gae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close