aur teri to kisi baat se inkar nahin

aur teri to kisi baat se inkar nahin
wo jo har bar hua hai wahi is bar nahin

hum ko kis samt mein jaana hai ye samjhae kaun
aur hum log samajhne ko bhi tayyar nahin

baal-o-par se nahin udta hun junun se apne
panw zanjir hue hain meri raftar nahin

aankh par khauf ka parda bhi to ho sakta hai
ye jo diwar nazar aati hai diwar nahin

jo tujhe dekhna hota hai wahi dekhta hai
teri aankhon mein tere khwab hain aazar nahin

raat hote hi gharon ko jo palatte hain 'samir'
ye ujalon ke taraf-dar hain haqdar nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close