sine mein tufan hai bhai honton pe muskan hai bhai andar kuchh hai bahar kuchh hai ye kaisa insan hai bhai dil ke andar kufr bhara hai hathon mein quran hai bhai bol teri auqat bata dun pesh-e-nazar diwan hai bhai qabu mein dil aaj nahin hai barish ka imkan hai bhai kitne aaine todega be-chehra hairan hai bhai ek ghalat insan ki khatir basti mein haijaan hai bhai maikhane aabaad hain har-su aur masjid viran hai bhai kitni yaaden dafn hain is mein dil bhi qabristan hai bhai shaitanon ko chhut mili hai mushkil mein insan hai bhai shama 'zamir' ek bhi nahin raushan khana-e-dil viran hai bhai