bahut shadab ho lekin bayabani nahin jati ki baam-e-auj chhune se bhi arzani nahin jati kai chehron ne aawazon ne dil aabaad rakkha hai magar aankhon mein raqsan hai jo virani nahin jati mujhe apni numu ke waste tum se bichhadna hai tumhaare sath rahne se tan-asani nahin jati main is dil ki sabhi sachchaiyan taslim karta hun magar ek baat aisi bhi hai jo mani nahin jati hujum-e-shor-o-ghul mein kaun tha kis ne pukara tha yahan to apni bhi aawaz pahchani nahin jati 'samir' is ishq mein insan kya itna badalta hai main khud par ghaur karta hun to hairani nahin jati