bahaar-e-gulshan-e-ayyam hun main sahar nur o sawad-e-sham hun main shitab aa ai mah-e-isa-nafas tu ki khurshid-e-kanar-e-baam hun main agar manzur hai aana to jald aa ki tujh bin sakht be-aram hun main bajae mai teri duri mein ai gul ba-rang-e-lala khun-asham hun main muhibb-o-mukhlis o fidwi hun tera samajh tu laeq-e-dushnam hun main tujhe dekh aap mein rahta nahin main gharaz tujh wasl se nakaam hun main bahaar aai chaman mein go mujhe kya giraftar o asir-e-dam hun main nishan apna kahin paya nahin yan faqat anqa-sifat yak nam hun main na paigham o salam o ne mulaqat abas tujh ishq mein bad-nam hun main na hun parwana-e-har-shama 'bedar' fida-e-sarw-e-gul-andam hun main