auron ki pyas aur hai aur uski pyas aur

auron ki pyas aur hai aur us ki pyas aur
kahta hai har gilas pe bas ek gilas aur

khud ko kai baras se ye samjha rahe hain hum
kati hai itni umr to do-chaar mas aur

pahle hi kam hasin kahan tha tumhaara gham
pahna diya hai us ko ghazal ka libas aur

takra rahi hai sans meri us ki sans se
dil phir bhi de raha hai sada aur pas aur

allah us ka lahja-e-shirin ki kya kahun
wallah us pe urdu zaban ki mithas aur

bandha hai ab naqab to phir kas ke bandh le
ek ghunt pi ke ye na ho badh jae pyas aur

'ghaalib' hayat hote to karte ye e'tiraf
daur-e-'charagh' mein hai ghazal ka class aur


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close