barson tapish-e-gham mein ye ehsas jale hai tab ja ke kahin sher ke sanche mein dhale hai kuchh aise teri bazm mein baitha hun akela jis tarah sar-e-rah koi shama jale hai allah kisi shakhs ko ruswa na kare yun mujh se mera saya bhi to ab bach ke chale hai is manzil-e-dushwar se hans hans ke guzar ja pagle kahin rone se shab-e-hijr dhale hai har roz naya rup badalti hai teri yaad aahon mein dhale hai kabhi ashkon mein dhale hai har shahr mein hone lagi angusht-numai ruswai meri mujh se bhi kuchh aage chale hai ek roz use tut hi jaana tha bahar-haal dil tod ke tu kyun kaf-e-afsos male hai