kaise ho kya hai haal mat puchho mujh se mushkil sawal mat puchho kis ne tum ko sataya hai itna kis liye hai malal mat puchho kyun wo khud ko nazar nahin aata kyun hai shishe mein baal mat puchho jabr kis ka hai kaun hai majbur kis ne phenka hai jal mat puchho kaun meri khushi ka dushman hai mujh se tum us ka haal mat puchho