az-bas bhala lage hai tu mere yar mujh ko be-ikhtiyar tujh par aata hai pyar mujh ko sayyaad ka bura ho jis ke taghafulon ne kunj-e-qafas mein rakkha fasl-e-bahaar mujh ko jaun kidhar ko yaro manind-e-said-e-khargah mizhgan ne kar rakha hai us ki shikar mujh ko is raftagi pe mujh se karta hai tu taghaful dante hai tis pe ulta phir bar bar mujh ko mera qusur kya hai sane ko chahiye tha miqdar-e-husn deta sabr-o-qarar mujh ko fitna hai ya pari hai jadu hai ya bala hai aankhon se ye kiya hai kis ki do-chaar mujh ko ai 'mushafi' tasawwur us ka jo samne hai aata nahin shab-e-gham yak-dam qarar mujh ko