az-sar-e-nau fikr ka aaghaz karna chahiye be-par-o-baal sahi parwaz karna chahiye sath par rahte hain un ko dubna aata nahin kyun na in tinkon ko sar-afraaz karna chahiye qurb mein duri bahut hai bod mein qurbat bahut har tawalat ko ata ijaz karna chahiye dil bana taus andeshe bane zagh o zaghan zehn ko ham-paya-e-shahbaz karna chahiye har ada mashuq ki banti hai paiman-e-wafa laghzish-e-pa ko nazar-andaz karna chahiye sher ki takhliq 'kawish' fel-e-jinsi to nahin manawi aulad par hi naz karna chahiye