ghairon ki bastiyon mein rahne ko aa rahe hain is dil ko chhod kar hum duniya bana rahe hain sakhiyan saheliyan wo guzra jahan ladakpan baithe bithae ab kyon sab yaad aa rahe hain rozi ki justuju mein apnon ko chhod chalna mazi ke sare manzar aankhon pe chha rahe hain roka tha sab ne hum ko lekin na ruk sake hum ab ajnabi zamin ke dukh ras aa rahe hain aankhon pe chha rahi hai barkha gae dinon ki guzre dinon ke qisse phir dil jala rahe hain mitti ki sondhi khushbu phir yaad aa rahi hai malhaar wo ruton ke khud ko suna rahe hain khushiyon se khud ko kitni mahrum kar liya hai pardes mein 'ghazal' kyon hum ranj utha rahe hain