azab aae the aise ki phir na ghar se gae wo zinda log mere ghar ke jaise mar se gae hazar tarah ke sadme uthane wale log na jaane kya hua ek aan mein bikhar se gae bichhadne walon ka dukh ho to soch lena yahi ki ek nawa-e-pareshan the rahguzar se gae hazar rah chale phir wo rahguzar aai ki ek safar mein rahe aur har safar se gae kabhi wo jism hua aur kabhi wo ruh tamam usi ke khwab the aankhon mein hum jidhar se gae ye haal ho gaya aakhir teri mohabbat mein ki chahte hain tujhe aur teri khabar se gae mera hi rang the to kyun na bas rahe mujh mein mera hi khwab the to kyun meri nazar se gae jo zakhm zakhm-e-zaban bhi hai aur numu bhi hai to phir ye wahm hai kaisa ki hum hunar se gae