aziz itna hi rakkho ki ji sambhal jae ab is qadar bhi na chaho ki dam nikal jae mile hain yun to bahut aao ab milen yun bhi ki ruh garmi-e-anfas se pighal jae mohabbaton mein ajab hai dilon ko dhadka sa ki jaane kaun kahan rasta badal jae zahe wo dil jo tamanna-e-taza-tar mein rahe khosha wo umr jo khwabon hi mein bahal jae main wo charagh sar-e-rahguzar-e-duniya hun jo apni zat ki tanhaiyon mein jal jae har ek lahza yahi aarzu yahi hasrat jo aag dil mein hai wo sher mein bhi dhal jae