azab-e-hijr bhi hai rahat-e-visal ke sath mili to hain mujhe khushiyan magar malal ke sath tumhaari yaad mein bhi zabt-o-etidal kahan main tum se kaise milun zabt-o-etidal ke sath yahi bahut hai zamane mein chaar-din ke liye agar hayat kate ek ham-khayal ke sath kuchh is tarah shab-e-mah ne kiran ki dastak di ubhar gain kai choten kisi khayal ke sath ufuq nahin to kisi chand ka tasawwur kya sitare dub gae dard ke zawal ke sath shafaq gulal kali chandni alap sahar nazar ke samne aae teri misal ke sath bhatak raha hun ki farda ka rasta gum hai qadam qadam mera mazi hai mere haal ke sath use sunun ki use dekhta rahun ai 'shaz' jamal-e-naghma bhi hai naghma-e-jamal ke sath