mauj-e-hawa ki zanjiren pahnenge dhum machaenge tanhai ko git mein dhaalenge giton ko gaenge kandhe tut rahe hain sahra ki ye wusat bhaari hai ghar jaen to apni nazar mein aur subuk ho jaenge parchhain ke is jangal mein kya koi maujud nahin is dasht-e-tanhai se kab log rihai paenge zamzam aur ganga-jal pi kar kaun bacha hai marne se hum to aansu ka ye amrit pi ke amar ho jaenge jis basti mein sab waqif hon wo basti ek zindan hai wahshat ki fasl aaegi to hum kitna ghabraenge aaj jo is bedardi se hansta hai hamari wahshat par ek din hum us shahr ko 'rahi' rah rah kar yaad aaenge