umr-bhar sine mein ek dard dabae rakkha ek be-nam se rishte ko nibhae rakkha tha mujhe wahm-o-guman ki wo faqat meri hai aur us ne bhi bharam mera banae rakkha aandhiyan sharm se ho jaen na pani pani sar yahi soch ke pedon ne jhukae rakkha waise har baat se rakkha use waqif hum ne lekin afsana-e-ulfat ko chhupae rakkha ek rishta jise main de na saka koi nam ek rishta jise ta-umr nibhae rakkha kuza-gar tujh ko banana hi nahin tha jab kuchh kis liye chaak pe ta-umr chadhae rakkha