azab ho gai zanjir-e-dast-o-pa mujh ko jo ho sake to kahin dar pe chadha mujh ko taras gaya hun main suraj ki raushni ke liye wo di hai saya-e-diwar ne saza mujh ko jo dekhe to isi se hai zindagi mere magar mita bhi rahi hai yahi hawa mujh ko usi nazar ne mujhe tod kar bikher diya usi nazar ne banaya tha aaina mujh ko sarab-e-umr-e-tamanna ki tishnagi hun main agar hai chashma-e-faiyaz to bujha mujh ko kabhi to apne badan ke charagh raushan kar kabhi to apne lahu se bhi aazma mujh ko