ghair ki bad-gumaniyon pe na ja be-haqiqat kahaniyon pe na ja khinch leta hai daman-e-ehsas phul ki be-zabaniyon pe na ja us ki ghaarat-gari ko dhyan mein rakh aql ki pasbaniyon pe na ja sabr ki dosti ko rakh malhuz jabr ki hukmaraniyon pe na ja khubs-e-baatin ke zahr se bhi bach mahz shirin-bayaniyon pe na ja mustaqil zulm ka mudawa kar aarzi mehrbaniyon pe na ja ruh ki bhi pukar sun 'akhtar' jism ki kaamraniyon pe na ja