kisi ehsas mein pahli si ab shiddat nahin hoti ki ab to dil ke sannate se bhi wahshat nahin hoti zamane-bhar ke gham apna liye hain khud-farebi mein khud apne gham se milne ki hamein fursat nahin hoti guzar jati hai sari zindagi jin ke taaqub mein bagule hain kisi bhi khwab ki surat nahin hoti qasam khai hai hum ne barha khamosh rahne ki magar ghut-ghut ke rahne ki abhi aadat nahin hoti use main aagahi ka faiz samjhun ya saza samjhun hamein duniya ki nairangi pe ab hairat nahin hoti jahan par makr-o-fan aadab-e-mahfil ban ke chhaya ho hamein aisi kisi mahfil se kuchh nisbat nahin hoti hazaron an-kahi baaten jinhen likhne ko ji chahe kabhi himmat nahin hoti kabhi fursat nahin hoti