azal abad se bahut dur jhumte the hum kisi ke dhyan mein kuchh din ko ja base the hum wo gham ho ya ho khushi kaif kam na hota tha ajib rah se ho kar guzar rahe the hum bahut aziz the hum ko hamare dost magar ek ajnabi ke liye sab se chhut gae the hum karam se aap ke sarshaar tha ye dil lekin khushi ki aanch mein kya kya pighal rahe the hum tumhein to yaad kahan honge ab magar wo din na dekh kar tumhein har lamha dekhte the hum wo ek kaif ka aalam wo aarzu-mandi na jaane kaun si duniya mein ji rahe the hum