chaman mein jab bhi tera tazkira nikalta hai har ek phul naya pairahan badalta hai na jaane yaad teri hai ki tere hijr ka gham har ek raat mere dil ko jo masalta hai ajib chiz hai jaanan tera na hona bhi har ek zakhm se mere lahu ubalta hai gham-e-hayat se milta hai dil ko lutf naya ki ye shajar to khizan mein bhi khub phalta hai fasana khatm ko pahuncha nahin abhi 'sahil' sada ye aai ki khurshid-e-umr dhalta hai