azal se to abad tak hai guzare ka sahaara dukh khuda ne sath aadam ke utara hai ye sara dukh isi dar se kisi gham ka manaya hi nahin matam zamana ye na samjhe ki abhi tak hai tumhaara dukh jahan par izzat-e-nafsi se badh kar kuchh nahin hota wahan samjhe koi kaise tumhaara dukh hamara dukh abhi aaghaz-e-ulfat hai abhi mumkin palatna hai wagarna tum bhi cikhoge hamara dukh hamara dukh mohabbat ke safine to ghamon se par hote hain wahi us par utrega hai jis ka bas kinara dukh