ye jo zahr hai tere qurb ka mere rom rom utar de meri dastan ho mo'atabar mujhe apne ishq mein mar de kabhi apne jism ko mai bana mujhe qatra qatra pilae ja meri aankh roz-e-jaza khule koi is tarah ka khumar de teri nisbaton se juda rahun tere raston mein pada rahun koi aisi hasrat-e-be-baha meri dhadkanon se guzar de mere dosta mere kibriya meri laghzishon se ho darguzar meri pastiyon ko uruj de mere ujde dil ko sanwar de meri aarzuon ke sip ka kisi aab-e-naisan se mel kar mujhe aashna-e-visal kar meri bekali ko qarar de yahi apne shauq se kah diya kabhi ek pal nahin sochna jahan naqsh-e-pa mile yar ka ye mata-e-jaan wahin war de