barbaad-e-mohabbat ka bas itna fasana hai

barbaad-e-mohabbat ka bas itna fasana hai
rone ko nahin koi hansne ko zamana hai

kuchh kam na tha un ka gham is par gham-e-hasti bhi
mar-mar ke sahi lekin ye bojh uthana hai

kal mujh ko tha gham un ka ab un ko hai gham mera
ek wo bhi zamana tha ek ye bhi zamana hai

yaktai-o-kasrat mein hai farq to bas itna
simte to mera dil hai phaile to zamana hai

allah ajab shai hai ye jazb-e-mohabbat bhi
dekhen wo kisi jaanib dil mera nishana hai

chhaya hua har shai par aalam hai jawani ka
joban pe hai fasl-e-gul mitne ka zamana hai

is dukh-bhari duniya ki auqat bas itni hai
dekho to haqiqat hai samjho to fasana hai

wo daur hawas ka tha ye daur-e-mohabbat hai
jab gham ko bhulate the ab khud ko bhulana hai

baqi na kahin dil mein rah jae koi arman
thoda sa bhatak bhi len manzil pe to aana hai

the 'ghaalib' o 'momin' bhi yakta-e-jahan lekin
wo un ka zamana tha ye mera zamana hai

dam lene bhi de 'sahir' zalim ye gham-e-dauran
barbaadi-e-ulfat par do ashk bahana hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close