baghair us ke ye hairan hain baghal dekh apni khali hum ki karwat le nahin sakte hain jun taswir-e-qali hum koi aatish ka parkala jo waqt-e-khwab yaad aawe to samjhen kyun na angare ye gul-ha-e-nihaali hum irada gar kiya dushnam dene ka ab ai pyare to lab se lab mila kar bas teri kha lenge gali hum na ho pahlu mein apne jab wo sabza rang hi zalim to phir kis rang katen ye bala se raat kali hum ladi hai aankh us se jo ye chitwan mein jatata hai kisi ki kya hamein parwa hain apne la-ubaali hum na ho wo sim-tan pas apne jab sair-e-shab-e-mah mein karen to dekh kya bas ek pital ki si thaali hum jo ho dur-az-khayal-e-'mani'-o-'bahzad' har surat baghair-az-mu-qalam khinchin wo taswir-e-khyali hum karen wasf-e-jamal-e-yar mein ek sher gar mauzun to samjhen intikhab-e-jumla asha-e-jamali hum ba-kunj-e-be-kasi padhte hain jo hum marsiya dil ka to hain aap hi jawabi aur aap hi hain sawali hum wo duba itr mein ho mast-e-mai masruf-e-sair-e-gul aur us ko is rawish dekhen darun-e-bagh-e-khali hum gul-e-ummid to shayad ki apna bhi shagufta ho tajjub kuchh nahin gar paen phal pate sahaali hum zi-bas haalat-e-ishq ab hum pe tari hai sada 'jurat' ba-tarz-e-ashiqana kahte hain ashaar-e-'haali' hum