ba-faiz-e-agahi ye kya azab dekh liya ki khud hi apne kiye ka hisab dekh liya ye nasl nasl masafat bahal rahi hai yunhi sarab jagte sote mein khwab dekh liya dilon ki tirgi dhone ko log uthe hain jab chhaton par utra hua aaftab dekh liya saron se taj bade jism se abaen badi zamane hum ne tera intikhab dekh liya wo fakhta jise lana tha amn ka paigham udi nahin thi ki us ne uqab dekh liya kabhi wo khul ke kabhi sarsari mila hum se kabhi hilal kabhi mahtab dekh liya kitab padhne ki fursat yahan kise 'anjum' bahut hua to faqat intisab dekh liya