bite hue lamhat ko pahchan mein rakhna murjhae hue phul bhi gul-dan mein rakhna kya jaanen safar khair se guzre ki na guzre tum ghar ka pata bhi mere saman mein rakhna kya din the mujhe shauq se mehman bulana aur khud ko magar khidmat-e-mehman mein rakhna kya waqt tha kya waqt hai is soch se hasil chhodo jo hua kya use mizan mein rakhna insan ki niyyat ka bharosa nahin koi milte ho to is baat ko imkan mein rakhna pursish hai bahut sakht wahan fard-e-amal ki kuchh nat ke ashaar bhi diwan mein rakhna mukhlis ho raho toka hai kis ne tumhein 'anjum' raftar-e-zamana bhi magar dhyan mein rakhna