sharab-e-nab ko munh se zara laga waiz mai-e-tuhur ka main wasf sun chuka waiz teri tarah nahin toda kabhi kisi ka dil jo hum ne todi bhi tauba to kya hua waiz main jaanta hun haqiqat bahisht-o-dozakh ki khuda ke waste baaten na tu bana waiz gunah-gar hain hum zat hai ghafur us ki khuda khuda kar are tu nahin khuda waiz