charagh-e-dard ki sham-e-tarab pukarti hai ek aag si lab-e-dariya-e-shab pukarti hai adu se jaan bachchi hai na dost bichhde hain ye sham-e-girya hamein be-sabab pukarti hai charagh-e-shauq pe rah rah ke nur aata hai hawa ba-tarz-e-rukh-o-chashm-o-lab pukarti hai shahid-e-ab-o-namak hain so badhte jate hain shikast o fath piyaadon ko kab pukarti hai sadaen de ke bulati hai shah-banu-e-shahr faqir jis ke hain dekhen wo kab pukarti hai main jaise din ki tab-o-tab se pareshan hun ba-waqt-e-sham khushi ek ajab pukarti hai hum aise kaun anokhe tulua hote hain jo hum ko dekh ke duniya ghazab pukarti hai