ba-in qaid-e-KHamoshi bhi ghazal-KHwan hama-tan hum hain

ba-in qaid-e-khamoshi bhi ghazal-khwan hama-tan hum hain
na paband-e-zaban hum hain na majbur-e-sukhan hum hain

gulistan mein sharik-e-sohbat-e-ahl-e-chaman hum hain
bas itni baat par kyun qabil-e-dar-o-rasan hum hain

jawab-e-zulm deti ja rahi hai apni mazlumi
idhar talwar rangin hai udhar rangin-kafan hum hain

khizan se kab ki buniyaad-e-gulistan gir chuki hoti
magar ye khairiyat hai zer-e-diwar-e-chaman hum hain

nasheman phunk kar samjhen ki sab kuchh phunk dala hai
hijab-e-gul mein baithe bijliyon par khanda-zan hum hain

agarche bazm mein hum bhi hain lekin farq kitna hai
waqar-e-anjuman tum ho wabaal-e-anjuman hum hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close