ba-khuda hain teri hindu but mai-khwar aankhen nashshe ki dori nahin pahnen hain zunnar aankhen nazr-e-dil mangti hain aap ki sarshaar aankhen ain masti mein raha karti hain hoshiyar aankhen mujh ko nazzara hai is parda-nashin ka manzur kash ban jaen meri rauzan-e-diwar aankhen chashm-e-ahu se gharaz thi na mujhe nargis se teri aankhon se jo miltin na ye do-chaar aankhen chaar-chashm is liye kahta hai mujhe ek aalam ki meri aankhon mein phirti hain teri yar aankhen dekhte rahte hain hum rah tumhaari sahab aap aate nahin aa jati hain har bar aankhen shokh-chashmi se chakaron ko wo dhamkati hain dekhna hum se milana na khabar-dar aankhen tak lete hain nazar-baz hain hum bhi sahab dil churaya hai churaate ho jo har bar aankhen pyar se main ne jo dekha to wo farmate hain dekhiye dekhiye hoti hain gunahgar aankhen chum lete hain wo aaine mein aankhen apni lab masihai karenge ki hain bimar aankhen chashm-e-baddur hai kajal bhi to manzur-e-nazar kyun nazar ho gai kyun ho gain bimar aankhen rukh-e-sayyaad jo dekha hai to ab dekh ke gul band kar lete hain murghan-e-giraftar aankhen ban gae panja-e-mizhgan bhi meri dast-e-dua dekh rakhti hain na kuchh hasrat-e-didar aankhen dast-e-wahshat mein ghazalon ko taka karta hun raat-din pesh-e-nazar hain teri ai yar aankhen ye mera daman-e-tar daman-e-gulchin hoga rang laengi abhi to meri khun-bar aankhen murgh-e-dil us se kisi tarah nahin bach sakta kahin shahin shikari si hain tayyar aankhen chashm-e-makhmur mein saqi ki ye kaifiyyat hai nashsha maston ke do-baala hon jo hon chaar-ankhen chahiye hazrat-e-musa ke liye jalwa-e-tur tere didar ki hain apni saza-war aankhen aagara chhut gaya 'mehr' to chunnar mein bhi dhundha karti hain wahi kucha-o-bazar aankhen