ba-qadr-e-hasrat-e-dil zulm bhi dhana nahin aata wo kya taskin denge jin ko tadpana nahin aata baqa-e-jawedan ke raaz se waqif nahin ai dil jinhen rah-e-wafa mein khak ho jaana nahin aata badalte rahiye unwan sharh-e-rudad-e-mohabbat ke kisi surat tamami par ye afsana nahin aata gira de qasr-e-istibdad jo ek nara-e-hu hai nazar aisa koi bhi aaj diwana nahin aata