saqi-e-rangin-ada tha baada-e-gulfam tha naseh-e-mushfiq lihaz-e-tauba mushkil kaam tha jo tajalli-ashna tha jlawa-e-gah-e-am mein wo nigahen thin hamari ya dil-e-nakaam tha mera afsana sunaya qais ne farhad ne ab bhi main badnam hun pahle bhi badnam tha un ki mahfil mein faqat main hi na tha hasrat-zada shama bhi afsurda thi parwana bhi nakaam tha kya sunaun aap ko afsana-e-rah-e-wafa mukhtasar ye hai ki main nakaam hun nakaam tha ab hamein wo din wo raaten yaad aati hain 'rashid' ku-e-jaanan ki bahaaren thin dil-e-khush-kaam tha