thi chaal hashr mein bhi qayamat huzur ki sach puchhiye to jhenp gai aankh hur ki sach hai ki raaz-e-wasl chhupana nahin hai sahl main kya kahun jo kahti hai chitwan huzur ki jaane se dil ke kyun na ho viran bazm-e-aish shab bhar isi se rahti thi baaten huzur ki ghash aaj aa gaya hai khuda jaane kal ho kya musa ab aur sair karo koh-e-tur ki jannat mein puchhte hue 'jawed' hum chale dukan kis taraf hai sharab-e-tahur ki